Friday, July 20, 2018

Pata ni kitna pyar karta tha......

Mai kitna bhi busy rehta tha, tere msg ka reply turant kiya karta tha.......tera thoda to bhao badha tha, firbhi mai tujhe bhao diya karta tha........ni chahta tha tujhse kabhi door jaun, koi bhi waqt aisa ho jisme tujhse baat na kar paun.......lekin sach me toota aisa ki uske baad khudko bhi waqt na diya karta tha.......
Tune to sayad dekha bhi na tha, tujhse kitna pyar kiya karta tha......tu udas bhi hoti thi to mai ro diya karta tha.......toot gaya tha fir bhi tere bare me kisi ko bura na bolta tha.......khudko bhi itna pyar na kiya karta tha jitna mai tujhe karta tha........
Haan ab to thoda badal chuka hu.......pyar k mamle me thoda to sambhal chuka hu........itni himmat ni ki dobara toot jaun......isiliye hi to har jageh mai akela hi khada hu.......

No comments:

Post a Comment